MahaLaxmi Aarti
Jai Laxmi Mata, Maiya JaiLaxmi Mata,
Tumko nis din sevat, Hari, Vishnu Data
Jai JaiLaxmi Mata
Uma Rama Brahmaani, Tum hi Jag Mata,
Maiya, Tum hi Jag Mata,
Surya ChanraMa dhyaavat, Naarad Rishi gaata.
Jai JaiLaxmi Mata.
Durga Roop Niranjani, Sukh Sampati Data,
Maiya Sukh Sampati Data
Jo koyee tumko dhyaataa, Ridhee Sidhee dhan paataa
Jai JaiLaxmi Mata.
Tuhi hai patal Basanti, tuhi shubh data,
Maiya tuhi shubh data
Karma prabhav prakashak, jagnidhi se trata,
Jai JaiLaxmi Mata.
Jis ghar mein tu rehtee, sab sukh guna aataa,
Maiya sab sukh guna aataa,
Karna sake koi karle, man nahin ghabrata.
Jai JaiLaxmi Mata
Tum bin yagya na hove, vastra na koi pata,
Maiya vastra na koi pata
Khan pan ko vaibhava, tumhin, koi nahTh,
Jai JaiLaxmi Mata
Shubh gun mandir sundar, Kshirodadhi jata,
Maiya Kshirodadhi jata
Ratan charurdash tumhin, koi nahTh pata,
Jai JaiLaxmi Mata
Arti Laxmi ji ki, jo koi nar gata,
Maiya jo koi nar gata
Ur anand ati umeg, pap utar jata,
Jai JaiLaxmi Mata
Jai Laxmi Mata, Maiya JaiLaxmi Mata,
Tumko nis din sevat, Hari, Vishnu Data
Jai JaiLaxmi Mata
Jai JaiLaxmi Mata...
Jai JaiLaxmi Mata...
Jai JaiLaxmi Mata....
Submitted by: Bachram
[20.08.12] Anuradha Paudwal еще тексты
Другие названия этого текста
- Anuradha Paudwal - Om Jai Lakshmi Mata (0)
- [20.08.12] Anuradha Paudwal - Om Jai Lakshmi Mata (0)
- ॐ mantra [ Anuradha Paudwal ] - Om Jai Lakshmi Mata (0)
- Abanty Maity - Om Jai Lakshmi (0)
Оценка текста
Статистика страницы на pesni.guru ▼
Просмотров сегодня: 1