Tera rangg aisa chadh gayaa Koi aur rang na chadh sake Tera naam seeney pe likha Har koi aake padh sakey
Hai junoon hai junoon hai Tere ishq ka ye junoon hai Rag rag mein ishq tera daudtaa Yeh baawra sa khoon hai Tune hi sikhaya sachaion ka matlab Tere paas aake jaana maine zindagi ka maksad Satyamev, satyamev, satyamev jayate Sachcha hai pyaar tera, satyamev jayate Tere noor ke dastoor mein Na ho salwatein na shikan rahe Meri koshishen toh hai bas yahee Rahein khushbuein gulshan rahe Teri zulf suljhaney chala Terey aur paas aaney chala Jahan koi sur na ho besura Woh geet main ganey chala Tera rang aisa chadh gaya Tha nasha jo aur bhi badh gaya Teri barishon ka karam hai ye Main nikhar Gaya main sanwar gaya
Jaisa bhi hoon apnaa mujhey Mujhey ye nahin hain bolna Kabil tere main ban sakoo Mujhey dwaar aisa kholna Sanson ki is raftaar ko Dhadkan ke is tyohaar ko Har jeet ko har haar ko Khud apney is sansaar ko Badloonga main tere liye Mujhey khud ko bhi hai tatolna Kahin hai kami to hai bolna Khahin daag hain toh chhupayen kyon Hum sach se nazrein hatayen kyon
khud ko badalna hai agar Badloonga main tere liye Sholon pe chalna hai agar Chal doonga main tere liye Mere khoon ki har boond mein Sankalp ho tere pyaar ka Kaato mujhey to tu bahe Ho surkh rang har dhaar ka