Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hain Ki zindagi teri zulfon ki narm chhaon main guzarne pati to shadab ho bhi sakti thi.
Yeh ranj-o-gham ki siyahi jo dil pe chhayi hain Teri nazar ki shuaon main kho bhi sakti thi.
Magar yeh ho na saka aur ab ye aalam hain Ki tu nahin, tera gham teri justjoo bhi nahin.
Guzar rahi hain kuchh iss tarah zindagi jaise, isse kisi ke sahare ki aarzoo bhi nahin.
Na koi raah, na manzil, na roshni ka suraag Bhatak rahin hai andheron main zindagi meri.
Inhi andheron main reh jaoonga kabhi kho kar Main janta hoon meri hum-nafas, magar yoonhi Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai. *** कभी कभी मेरे दिल मैं ख्याल आता हैं कि ज़िंदगी तेरी जुल्फों कि नर्म छांव मैं गुजरने पाती तो शादाब हो भी सकती थी।
यह रंज-ओ-ग़म कि सियाही जो दिल पे छाई हैं तेरी नज़र कि शुआओं मैं खो भी सकती थी।
मगर यह हो न सका और अब ये आलम हैं कि तू नहीं, तेरा ग़म तेरी जुस्तजू भी नहीं।
गुज़र रही हैं कुछ इस तरह ज़िंदगी जैसे, इससे किसी के सहारे कि आरझु भी नहीं.
न कोई राह, न मंजिल, न रौशनी का सुराग भटक रहीं है अंधेरों मैं ज़िंदगी मेरी.
इन्ही अंधेरों मैं रह जाऊँगा कभी खो कर मैं जानता हूँ मेरी हम-नफस, मगर यूंही