Chand Mund sanhare, shonitha beeja hare (Maiya shonitha beeja hare) Madhu Kaitav dou mare (Madhu Kaitav dou mare), surbaiya haina karey Maiya Jai Ambe Gauri
Brahmani, Rudrani, tum Kamala Rani (Maiya tum Kamala Rani) Agam-nigam bakhani (Agam-nigam bakhani), tum shiv patrani Maiya Jai Ambe Gauri
Chaunsath yogini gavat, nritya karat bhairon (Maiya nritya karat bhairon) Bajat tal mridanga (bajat tal mridanga,), aur bajat damru Maiya Jai Ambe Gauri
Tum ho jag ki mata, tum hi ho bharata (Maiya tum hi ho bharata) Bhaktan ki dukh harta (bhaktan ki dukh harta), sukh sampati karta Maiya Jai Ambe Gauri
Bhuja char ati shobhit, var mudra dhari (Maiya var mudra dhari) Manvanchhit phal pavat (manvanchhit phal pavat), sevat nar nari Maiya Jai Ambe Gauri
Kanchan thal virajat, agaru kapur bati (Maiya agaru kapur bati) Shri Malketu men rajat (Shri Malketu men rajat), kotiratan jyoti Maiya Jai Ambe Gauri
Shri Ambe ji Ki aarti, Jo koi nar gave (Maiya jo koi nar gave) Kehata Shiva Nand Swaami (kehata Shiva Nand Swaami), sukh sampati paave Maiya Jai Ambe Gauri