Mera kuch saamaan tumhare paas pada hai -2 o o o ! saavan ke kuch bheege bheege din rakhe hain aur mere ik khat main lipti raat padi hai vo raat bhulaa do, mera vo saamaan lauta do - 2 mera kuch saamaan tumhaare paas pada hai - 2
patjhad hai kcuh ... hai na ? o ! patjhas main kuch patton ke girne kee aahat kaanon main ek baar pahan ke laut aai thee patajhad kee vo saakh abhi tak kaanp rahi hai vo saakh gira do, mera vo saamaan lauta do - 2
ek akeli chhataree main jab aadhe aadhe bheeg rahe the - 2 aadhe sookhe aadhe geele, sukha to main le aaye thee geela man shayad bistar ke paas pada ho vo bhijwa do, mera vo saamaan lauta do
ek so sola chaand ki ratain ek tumhare kaandhe ka til - 2 geeli mahendi ki khushbu, jhoot mooth ke shikwe kuch jhooth mooth ke wade sab yaad karaa do sab bhijwa do, mera vo saamaan lauta do - 2
ek ijaazat de do bas, jab isako dafanaaungee main bhi vaheen so jaungee