naseem e suboh to itna unhe bata dena labo pe jaan hai surat zara dikha dena mila naa dena tamanna khak main meri naa hasraton ke gale par churi chala dena janaza mera tahe baam aaj thehra kar azeezo rukh se kafan ko zara hata dena tumhare haar ke baasi jo phool ho unko mazare aashiqe ke laashaad par chada dena
khayal rakha hai meri mayyat utte mera koi lagda na rove karo kafan di bahun jaldi mat khabar sajan nu pove
……………………... khurshid da baaki keda si je unda ek aathru dig pove
ishq main hum tumhe kya bataye kis kadar chot khaye hue hai maut ne humko maara hai aur hum zindagi ke sataye hue hai
usne shaadi ka joda pahan kar sirf chuma tha mere kafan ko bas usi din se jannat ki hoorein muzhko dulha banaye hue hai..
surkh aankho mai kaajal laga hai rukh par gaaza sajaye hue hai aise aaye hai maiyyat par meri jaise shaadi main aaye hue hai ishq main hum tumhe kyaa bataye.
aye lahat apni matti se kehde daag lagne naa paaye kafan ko aaj hi humne badle hai kapde aaj hi hum nahaye hue hai ishq main hum tumhe kya bataye..........
Sharab isliye filhas mein nahi peeta ki naap tol ke peena muzhe pasand nahi tere vazud sey, tere vajuuuuuud sey angdayi le ke nikalega vo maikada jo abhi bottlon mein band nahin
Unki tareef kya puchtey ho umr saari gunahon mein guzri parson ban rahein vo aisey zaisey ganga nahaye huey hain
n aab muskaaney ko ji chahta hai n aanson bahaney ko ji chahta hai haseen teri aankhein haseen terey aansoon yahin doob janey ko ji chahta hai
dekh saki tere maykadey ka ek pahuuncha hua riind hoon mein jitney aaye hain mayyat pe meri sab ke sabe hi lagaye hue hain
Dushmanon Ki Shikayat Hai Beja Doston Say Gila Kya Karaingay Jher Chukay Jin Darakhton Kay Pattay Phir Kahan Unke Saai Huai Hain
tum kya samJho tum kya jaaNo baat meri tanhaayee kee Angdai Par Angdai Leti Hai Raat Judai Ki kaun siyahi ghol raha tha waqt ke behte dariya mein maine aankh jhuki dekhi hai aaj kisi harjee kee
wasl ki raat na jaane kyoon israar tha unko jaane par waqt se pehle dhoob gaye taaron ne badi daanaee kee
udte udte aas ka panchi door ufaq mein doob gaya rote rote baith gayee awaaz kisi saudaaee kee..
Kya Hai Anjaam-E-Ulfat Patangon, Jaake Shamma Ke Nazdeek Dekho,.. Kuch Patango Ke Laashein Padi Hai, Par Kisi Ke Jalaaye Hue Hain
Katal Ke Waqt Sab Doston Ne, Ye Chukaya Mohabbat Ka Badla,.. Daal Di Khaakh Mere Badan Par, Ye Na Socha Nahaaye Hue Hain,..
Un ki tareef kya poochte ho, umr saari gunahon mein guzri* Paarsa ban rahe hain, wo aise jaise ganga nahae hue hain
Zindagi Mein Na Raas Aayi Rahat, Chain Se Ab Sone Do Lehat Mein,.. Aye Farishton Na Chedo Na Chedo, Hum Jahan Ke Sataaye Hue Hain,..
Khoi Khoi Si Bechain Aankhein, Bekarari Hai Chehre Se Zaheer,.. Hona Ho App Bhi Meri Tarah Ishq Ki Chot Khaaye Hue Hain