Mann jaage saari raat, mera deewana Mann maane na ye baat, ke woh tha begana [x2]
Hai khud se hi, khafa khafa Kya chahiye? nahi pata! baawra!
Paaya woh naa chaaha, chaaha woh naa paaya Jiske peeche bhaage, woh saaya hai re saaya Kya kya raste dhoonde! kya kya dukh na paaya! Par saaya thehra saaya ke haathon mein na aaya
Koi subah, jo main uthuun Bujhe agan, mile sukoon, baawara
Gin.ta rehta taare lotun main angare Khud se ladta phirta yeh jag ko thokar maare Kheenche-kheenche baithe, baithe-baithe bhaage Na sunta khud ke aage, yeh pagal ho gaya re Paaya woh naa chaaha, chaaha woh naa paaya Jiske peeche bhaage, woh saaya hai re saaya Kya kya raste dhoonde! kya kya dukh na paaya! Par saaya thehra saaya ke haathon mein na aaya
Hai zindagi muhaal kyun? Bana liya yeh haal kyun bata.. Uljha-uljha rehta naa sunta naa kuch kehta Sooni sooni aankhon se reh reh paani behta Toote saare naate, haara main samjhate Bichhde din aur saathi phir wapas nahi aate Wapas nahi aate, wapas nahi aate
Thandi aahein bhar ke jeeta hai mar-mar ke Pyasa reh gaya hai yeh dariya se guzar ke Dhoke se nazar ke jhonke se umar ke Ret ke mahal sa, deh gaya hai bikhar ke [x2]
Aaa aah aa.. Mann jaage, jaage re Mann jaage Jaage jaage jaage baawara...