Kismat mein meri chain se jeena likhde Doobe na kabhi mera safeena likh de Jannat bhi ganwara hai, magar mere liye Aye kaatib-e-taqdeer, madina likhde
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam Hum ghareebon ke din bhi sanwarjayenge Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam
Haami-e-bekasaan kya kahega jahan Aapke darr se khaali agar jayenge
Tajdar-e-haram Tajdar-e-haram
Koi apna nahi gham ke maaray hain hum Aapke darr pe faryaad laaye hain hum Ho Nigah-e-karam, warna chokhat pe hum Aapka naam le le ke marjayenge
Tajdar-e-haram Tajdar-e-haram
Kya tumse kahoon aye Arab ke kunwar Tum jaanat ho mann ki battiyaan Darr furqat toh aye ummi-laqab Kaate na katath hai ab rattiyaan Turi preet mein sudbud sab bisri Kab tak ye rahegi beqabri Daah-e-ka pigan duzdi da nazar Kabhi sun bhi toh lo humri battiyaan Aapke darr se na koi khaali gaya Apne daaman ko bhar ke sawaali gaya Ho habeeb-e-hazin par bhi aaqa nazar Warna auraq-e-hasti bikhar jayenge
Tajalliyon ki ajab hai fizaa madine mein Nigah-e-shauk ki hai inteha madine mein Gham-e-hayat na khauf-e-khazaa madine mein Namaz-e-ishq karenge adaa madine mein Barah-e-raas hai raahe-e-khuda madine mein
Aao madine chalen, chalo madine chalen Aao madine chalen, Isi mahine chalen Maikashon aao aao madine chalen Dast-e-saaqiy-e-kausar se peene chalen Yaad rakho agar, uthgayi ek nazar Jitne khaali hai sabb jaam bharjayenge Tajdar-e-haram Tajdar-e-haram
Khof-e-toofan hai, bijliyon ka hai darr Sakht mushkil hai aaqa kidhar jayen hum Ap hi na garr na lenge, hamari khabar Hum musibat ke maaray kidhar jayenge Tajdar-e-haram Tajdar-e-haram Ya mustafa, ya mujtaba, eraham-lana, eraham-lana Dast-e-hama, bechara ra Daama tuhi, pursa tuhi Mann aasiyam, Mann ajizam Mann bekasam, Haal-e-mara Pursa tuhi, pursa tuhi Aye mushtub-e-zambar fishaan Paike naseem-e-sub haram Aye charagar insanafas Aye musliheh beemar-e-gham Aye qaasid-e-parkhundapaye Tujhko usi gul ki kasam Innil taya reehas saba Yauman ila-ardil-haram Balligh salami roza tann Fi-han nabi-al-mohtaram Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam
Hum ghareebon ke din bhi sanwar jayenge Haami-e-bekasaan kya kahega jahan Aapke darr se khaali agar jayenge Tajdar-e-haram Tajdar-e-haram