Koi kahe, kehta rahe kitna bhi humko deewana - 2 Hum logon ki thokar mein hai yeh zamaana Jab saaz hai, aawaaz hai, phir kis liye hichkichaana - 2 Oh, gaayenge hum apne dilon ka taraana Bigade duniya, bigadne bhi do Jhagade duniya, jhagadne bhi do Lade jo duniya, ladne bhi do, hum apni dhun gaao Duniya roothe, roothne do Bandhan toote, tootne do Koi chhoote, chhootne do, na ghabraao Hum hain naye, andaaz kyoon ho puraana - 2
Aankhon mein hain bijliyaan, saanson mein toofaan hai Darr kya hai aur haar kya, hum isse anjaan hai Hamaare liye hi to hai aasmaan aur zameen Sitaarein bhi hum tod lenge, hamein hai yakeen Ambar se hai aage hamaara thikaana Hum hain naye, andaaz kyoon ho puraana
Sapnon ka jo des hai, haan hum vahin hain pale Thode se dil phenk hai, thode se hai mann chale Jahan bhi kahe apna jaadu dikhaate rahe Mohabbat haseenon ko aksar sikhaate rahe Aaye hamein dil aur neendein churaana Hum hain naye, andaaz kyoon ho puraana Koi kahe, kehta rahe kitna bhi humko deewana Koi, kehta, kitna bhi humko deewana Oh, hum logon ki thokar mein hai yeh zamaana Oh, jab saaz hai, aawaaz hai, phir kis liye hichkichaana Jab saaz hai, aawaaz hai, phir kis liye hichkichaana Oh, gaayenge hum apne dilon ka taraana Bigade duniya, bigadne bhi do Jhagade duniya, jhagadne bhi do Lade jo duniya, ladne bhi do, hum apni dhun gaao Duniya roothe, roothne do Bandhan toote, tootne do Koi chhoote, chhootne do, na ghabraao Hum hain naye, andaaz kyoon ho puraana Oh, hum hain naye, andaaz kyoon ho puraana