Kabhi Yahaan Tumhein Dhonda, Kabhi Wahaan Pohncha Tumhari Deed Ki Khaatir Kahan Kahan Pohcha Ghareeb Mit Ga'ay, Pamaal Ho Gaye Laikin Kisi Talak Na Tera Aaj Tak Nishaan Pohncha
Ho Bhi Nahi Aur Her Jaa Ho Ho Bhi Nahi Aur Her Ja Ho Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Her Zarray Mein Kiss Shaan Say Tu Jalwa Numa Hai Hairaan Hai Magar Aqal K Kaisay Hai To Kia Hai Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Tujhay Dair-O-Haram Mein Nai Dhonda Tu Nahi Milta Magar Tashreef Farma Tujhay Apne Dil Mein Daikha Hai Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Dhonday Nahi Milay Ho Na Dhonday Say Kaheen Tum Aur Phir Yeah Tamasha Hai, Jahan Hum Hein Waheen Tum Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Jab Bajuz Tairay Koi Dosra Maujood Nahi Phir Samajh Mein Nahi Aata Tera Purdah Karna Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Harm O Dair Mein Hai Jalwa E Purfan Tera Do Gharoon Ka Hai Charaagh E Kurkhe Roshan Tera Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Jo Ulfat Mein Tumhari Kho Gaya Hai, Usi Kho'ay Hoay Ko Kuch Mila Hai Na But-Khanay, Na Kabay Mein Mila Hai, Magar Totay Hoay Dil Mein Mila Hai Adam Bun Ker Kaheen To Chup Gaya Hai, Kaheen To Hast Bun Ker Aa Gaya Hai
Nahi Hai Tu To Phir Inkaar Kaisa, Nafi Bhi Tairay Honay Ka Pata Hai Mein Jiss Ko Keh Raha Hoon Apni Hasti, Agar Wo Tu Nahi To Aur Kia Hai Nahi Aaya Khayaloon Mein Agar Tu, To Phir Mein Kaisay Samjha Tu Khuda Hai Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Hairan Hoon Is Baat Pay, Tum Kon Ho Kia Ho Haath Aao To But, Haath Na Aao To Khuda Ho Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Aqal Mein Jo Ghir Gaya La-Intiha Kiyoon Ker Hoa Jo Samajh Mein Aa Gaya Phir Wo Khuda Kiyoon Ker Hoa Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Falsafi Ko Behas K Ander Khuda Milta Nahi Dour Ko Suljha Raha Hai Aur Sira Milta Nahi Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Pata Yoon To Bata Daitay Ho Sub Ko La-Makaan Apna Ta'ajub Hai Magar Rehtay Ho Tum Tootay Hoay Dil Mein Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Jab K Tujh Bin Nahi Koi Maujood Phir Yeah Hangama Ay Khuda Kia Hai Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Chuptay Nahi Ho, Samnay Aatay Nahi Ho Tum, Jalwa Dikha K Jalwa Dikhatay Nahi Ho Tum Dair O Haram K Jhagray Mita'tay Nahi Ho Tum, Jo Asal Baat Hai Wo Batatay Nahi To Tum Hairaan Hoon Mairay Dil Mein Sama'ay Ho Kiss Tarah, Haan'la K Do Jahan Mein Samatay Nahi To Tum Yeah Ma Bud O Haram, Yeah Qaleesa-o-Dair Kiyoon, Harjayii Ho Jabhi To Bata'tay Nahi To Tum Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Dil Peh Hairat Nai Ajab Rung Jama Rakha Hai, Aik Uljhi Howi Tasveer Bana Rakha Hai Kuch Samajh Mein Nahi Aata K Yeah Chakkar Kia Hai, Khail Kia Tum Nai Azal Say Yeah Racha Rakha Hai Rooh Ko Jism K Pingray Ka Bana Ker Qaidee, Us Pay Phir Mout Ka Pehraa Bhi Bithaa Rakha Hai Day K Tadbeer K Panchi Ko Uranay Tu Nai, Daam-E-Tadbeer Mein Her Sumt Bicha Rakha Hai Kar K Araish E Qounain Ki Barsoon Tu Nai, Khatam Karne Ka Bhi Mansooba Bana Rakha Hai
La-Makaani Ka Bahr Haal Hai Dawa Bhi Tumhein, Nahl-O-Akrab Ka Bhi Paighaam Suna Rakha Hai Yeah Burai, Wo Bhalai, Yeah Jahannum, Wo Bahisht, Is Ulat Phiar Mein Farmao To Kia Rakha Hai Jurm Aadam Nai Kiya Aur Saza Baitoon Ko, Adl O Insaaf Ka Mi'aar Bhi Kia Rakha Hai Dai K Insaan Ko Dunya Mein Khilafat Apni, Ik Tamasha Sa Zamanay Mein Bana Rakha Hai Apni Pehchaan Ki Khaatir Hai Banaya Sub Ko, Sub Ki Nazaroon Say Magar Khud Ko Chup Rakha Hai Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Nit Naye Naqsh Banatay Ho Mita Daitay Ho, Janay Kiss Jurm-E-Tamanna Ki Saza Daitay Ho Kabhi Kunker Ko Bana Daitay Ho Heeray Ki Kani, Kabhi Heeron Ko Bhi Mitti Mein Mila Daitay Ho Zindagi Kitnay He Murdoon Ko Ata Ki Jiss Nai, Wo Maseeha Bhi Saleebon Pay Saja Daitay Ho Khuwahish-E-Deed Jo Kar Baithay Sir-E-Tuur Koi, Tuur Hee Bark e Tajaali Say Jala Daitay Ho Nalay Namrood Mein Dalwatay Ho Qudrat Na Khaleeq, Khud Hee Phir Naar Ko Gulzaar Bana Daitay Ho