Yeh Daulat Bhi Le Lo, Yeh Shaurat Bhi Le Lo, Bhale Cheen Lo Mujhse Se Meri Jawani, Magar Mujhko Lauta Do Bachpan Ka Sawan..... Wo Kagaz Ki Kashti.... Wo Baarish Ka Paani... Wo Kagaz Ki Kashti... Wo Baarish Ka Paani...
Muhale Ki Sabse Nishani Purani, Wo Budhea Jise Bache Kehte The Naani, Wo Naani Ke Baaton Me Paarion Ka Dera, Wo Chehre Ki Jhuriaon Me Sadion Ka pehra, Bhulae Nahin Bhul Sakta Hai Koi, Bhulae Nahin Bhool Sakta Hai Koi, Wo Chotti Si Raaten..... Wo Lambi Kahani Wo Chotti Si Raaten..... Wo Lambi Kahani
Kaadi Dhoop Me Apne Ghar Se Nikalna, Wo Chidia Wo Bulbul Wo Titli Pakadna , Wo Guddia Ki Shaadi Pe Ladna Ghagadna, Wo Jhuloon Se Girna Wo Gir Ke Sambhalna, Wo Peetal Ke Chaalon Ke Pyare Se Tohfe, Wo Peetal Ke Chaalon Ke Pyare Se Tohfe, Wo Tuuti Hue Chudion Ki Nishani Wo Kagaz Ki Kashti Wo Baarish Ka Paani, Wo Kagaz Ki Kashti Wo Baarish Ka Paani , Wo Kagaz Ki Kashti Wo Baarish Ka Paani ........
Kabhi Ret Ke Oonche TilooN Pe Jana Gharoonde Bana’na Bana’ke Mitana Wo Masoom Chahat Ki Tasvir Apni Wo KhwabooN KhilaooN Ki Jageer Apni Na Duniya Ka Gam Tha Na RishtoN Ke Bandhan Na Duniya Ka Gam Tha Na RishtoN Ke Bandhan Baree Khoobsurat Thi Wo Zindagani.............. Baree Khoobsurat Thi Wo Zindagani.............. Baree Khoobsurat Thi Wo Zindagani.............. Baree Khoobsurat Thi Wo Zindagani..............