Chipak-chipak kay chaltee hain kabhi-kabhi do raahein Jude-jude kuchh aise ki lagaa ho jaise gum Double-double hotee thi jo kabhi-kabhi takleefein Kisi ke sang mein chalne say hui half se kam Teraa meraa meraa teraa, tera mera mera tera kissaa atrangee Kabhi-kabhi chaltee hai kabhi-kabhi ruktee kahaani bedhangee
Kashmir main tu kanyakumari North-South ki kat gayi dekho doori hi saari Kashmir tu main kanyakumari Fifty-fifty har situation mein hissedaari...
Ek taraf to jhagdaa hai, saath phir bhi tagdaa hai Do kadam chaltay hain to lagtaa hai aath hain Do tarah ke flavor, sau tarah ke tevar Dar-badar phirte hain ji phir bhi apnee ThaaTh hai
Kashmir main tu kanyakumari Uttar ne Dakshin ko aflaatoon aankh maari Kashmir tu main kanyakumari Tel bechne jaaye to phir ye duniya saaree... Main zaraa sa puncture to tu hawaa ke jaisi hai Saath ho to pahiye takdeeron ke tight hon Bulb ban jaloon main aur tu switch ban jaaye Bhaad mein jaaye duniyaa apni battee right ho
kabhi-kabhi chale seedhay kabhee mud jaayein kabhi-kabhi paidal, kabhee ud jaayein Humein dekh zamaane waalon ki chaahe naak sikud jaaye...
Kashmir main tu kanyakumari Halke-phulke packet mein dekho mushkil bhaari Kashmir tu main kanyakumari Hindi mein gustaakhi hai to English mein sorry...