--CHORUS-- (Saiyyaan re saiyyaan, o more saiyyaan Aake gale lag jaa) - 3
--FEMALE-- Gale mein laal taai, ghar mein ek chaar paai Takiya ek aur hum do ek hi hai razaai Sardi kaise jaayegi, kaho kaise hamein neend aayegi - 2
--MALE-- Gale mein laal taai, ghar mein ek chaar paai Takiye ki fikar na kar, banoonga main khud razaai Gale se laga loonga, honton se coffee pila doonga Arre gale se laga loonga, honton se coffee pila doonga Saari duniya chain se soye, hum dono baaton mein khoye
--FEMALE-- Tumse main darrti hoon, koi harkat na karo Ek hai shart meri, tum sharaarat na karo
--MALE-- Haai yeh pasina kyoon aa gaya hai hamdam Na to kuch socho tum, na to kuch soche hum
--FEMALE-- Lage chaar paai mein kahin ek khatmal hai Tang mujhe karta hai tan mein halbal hai
--MALE-- Dushman khatmal ko tujhse mohabbat hai Jahan chaahe ghoomega, haai kya kismat hai Abhi usse dhoondkar main tagdi saza doonga - 2
--FEMALE-- Gale mein laal taai, ghar mein ek chaar paai Takiya ek aur hum do ek hi hai razaai Sardi kaise jaayegi, kaho kaise hamein neend aayegi
--MALE-- Arre gale se laga loonga, honton se coffee pila doonga haan Khidki ke main parde gira doon Tum keh do to batti bujha doon
--FEMALE-- Arre baba na re na, batti na bujha dena Waqt ka pata nahin, kuch na ho jaaye kahin
--MALE-- Gaata hoon sar ki kasam, zyaada na chhedoonga Is sharaafat ke liye ek chooma loonga
--FEMALE-- Haai kismat phooti, kisko yaar kiya Aise besabre se maine kyoon pyaar kiya
--MALE-- Ab to majboori hai, yeh ghadi aayi hai Saath sona hi pade, ek chaar paai hai Tere bharose ko kabhi na daga doonga, samjhi Tere bharose ko kabhi na daga doonga
--FEMALE-- Gale mein laal taai, ghar mein ek chaar paai Takiya ek aur hum do ek hi hai razaai Sardi kaise jaayegi, kaho kaise hamein neend aayegi
--MALE-- Haan gale se laga loonga, honton se coffee pila doonga haan