kehne ko jashn-e-bahaara hai, ishq yeh dekhke hairan hai phul se khusbu khafa khafa hai gulshan mein chupa hai koyi ranj fija ki chilman mein saare sehme najaare hain, soye soye waqt ke dhaare hain aur dil mein koyi khoyi si baten hain kehne ko jashn-e-bahaara hai, ishq yeh dekhke hairan hai phul se khusbu khafa khafa hai gulshan mein chupa hai koyi ranj fija ki chilman mein
kaise kahen kya hai sitam, sochate hai abb yeh hum koyi kaise kahen woh hai ya nahee humaare karte toh hai saath safar, faasale hain phir bhi magar jaise milte nahee kisi dariya ke do kinaare pasa hain phir bhi paas nahee, humko yeh gum raas nahee seeshe ki ik diwaar hai jaise darmiyaan saare sehme najaare hain, soye soye waqt ke dhaare hain aur dil mein koyi khoyi si baten hain kehne ko jashn-e-bahaara hai, ishq yeh dekhke hairan hai phul se khusbu khafa khafa hai gulshan mein chupa hai koyi ranj fija ki chilman mein
hamane ne jo tha nagma suna, dil ne tha usako chuna yeh daastaan hame waqt ne kaisi sunayi hum jo agar hai gumgin, woh bhi udhar khush toh nahee mulaakaato mein jaise ghul si gayi tanhayi milake bhi hum milate nahee, khilake bhi gul khilate nahee aankhon mein hai bahaaren, dil mein khija saare sehme najaare hain, soye soye waqt ke dhaare hain aur dil mein koyi khoyi si baten hain o ho... kehne ko jashn-e-bahaara hai, ishq yeh dekhke hairan hai phul se khusbu khafa khafa hai gulshan mein chupa hai koyi ranj fija ki chilman mein