Kahne ko jashn-e-bahaaraa hai ishq yeh dekh ke hairan hai fool se khushabu khafa khafa hai gulshan mein chupa hai koi ranj fiza ki chilman mein Saare sahme nazare hai, soye soye waqt ke dhare hai or dil mai khoi khoi si baate hai
kehne ko jashn-e-bahaaraa hai ....
Kaise kahe, kya hai sitam, Sochte hai ab yeh hum koi kaise kahe woh hai ya nahi humare Karte to hai saath safar, Faansle hai fir bhi magar jaise milte nahi kisi dariya ke do kinare paas hai fir bhi paas nahi, hum ko ab yeh raas nahi Shishe ki ek deewar hai jaise darmiyan Saare sahme nazare hai, soye soye waqt ke dhare hai or dil mai khoi khoi si baate hai
kehne ko jashn-e-bahaaraa hai ....
humne jo tha nagma suna, dil mai ye tha ishq chuna yeh daastan hume waqt ne kaisi sunai hum jo agar hai gamgeen, woh bhi udhar khush to nahi mulakato mai hai jaise ghul si gai tanhayi milke bhi hum milte nahi, khilke bhi gul khilte nahi aankon mein hai bahaare dil mai fiza Saare sehme nazare hai, soye soye waqt ke dhare hai or dil mai khoi khoi si baate hai
Kahne ko jashn-e-bahaaraa hai ishq yeh dekh ke hairan hai fool se khushabu khafa khafa hai gulshan mein chupa hai koi ranj fiza ki chilman mein..