Chitra: Kachche rang utar jaane do Mausam hai guzar jaane do Gulzar: Woh kab tak intezar karti Kohre mein khada hua pul to nazar aa raha tha Lekin uske sire nazar nahin aate the Kabhi lagta uske donon sire ek hi taraf hain Aur kabhi lagta is pul ka koi sira nahin hai Shaam bujh rahi thi aur aanewale ki koi aahat nahin thi kahin Neeche behta dariya keh raha tha Aao mere aaghosh mein aa jaao Main tumhari badnaami ke saare daag chhupa loon Mitti ke is shareer se bahut khel chuke Is khilone rang ab utarne lage hain Chitra: (Kachche rang utar jaane do Mausam hai guzar jaane do) -2
Nadi mein itna hai pani sab dhul jayega Matti ka tila hai yeh ghul jayega Itni si mitti hai nadiya ko behna hai Nadiya ko behne do sare rang bikhar jaane do