Mit jaaye yeh jameen, tham jaaye aasmaan - (2) Sun le jo gar kahin, yeh meri daastan
(Chheena mujhe tumne, khushiyon ke aanchal se Har zakhm lipta hai, ashkon ke daaman se) - (2) Gham ke andhere hain, ujade savere hain Aankhon mein kirchon se, kyun khwab mere hain Mit jaaye yeh jameen (mit jaaye), tham jaaye aasmaan (mit jaaye)
(Sone ki sadakon pe chalta raha tan ke Kante bichhe abb hain saaya tera ban ke) - (2) Gham ke andhere hain, ujade savere hain Pichhe salaakhon ke kyun khaab mere hai Mit jaaye yeh jameen (mit jaaye), tham jaaye aasmaan (mit jaaye) Sun le jo gar kahin, yeh meri daastan Mit jaaye