Приятные воспоминания Yaadein 2001 Aye Dil Dil Ki Duniya
--FEMALE-- Aah, aah, aah, aah aah Aah aah, aah (Aye dil, dil ki duniya mein Aisa haal bhi hota hai Baahar koi hansta hai Andar koi rota hai) - 2 Aye dil, koi pehchaana nahin Kisi ne yeh maana nahin Kisi ne yeh jaana nahin Kisi ko bataana nahin Dard chhupa hai kahan Aye dil, dil ki duniya mein Aisa haal bhi hota hai Baahar koi hansta hai Andar koi rota hai
--MALE-- O, hey, eh Tune mujhse vafaa nahin ki Tujhko kaise vafaa milegi Tune mujhko dard diya hai Tujhko kaise davaa milegi
--FEMALE-- Seene mein uthte hai armaan aise Dariya mein aate hai toofan jaise Kabhi kabhi khud hi maajhi Kashti ko dubota hai Aye dil, dil ki duniya mein Aisa haal bhi hota hai Baahar koi hansta hai Andar koi rota hai
--MALE-- Kaante chunkar tera daaman Phoolon se main bhar jaaoonga Isse badi sazaa kya hogi Maaf tujhe main kar jaaoonga Aa, eh aah
--FEMALE-- Hogi kisi ko pehchaan kaise Pyaar mein hote hain purbaan kaise Humko yeh maaloom na tha Pyaar bhi ek samjhauta hai Aye dil, dil ki duniya mein Aisa haal bhi hota hai Baahar koi hansta hai Andar koi rota hai Aye dil, koi pehchaana nahin Kisi ne yeh maana nahin Kisi ne yeh jaana nahin Kisi ko bataana nahin Dard chhupa hai kahan
--MALE-- (Aye dil, dil ki duniya mein Aisa haal bhi hota hai Baahar koi hansta hai Andar koi rota hai) - 2