Hashr bapa hai ghar ghar mein, dum ghut'ta hai gumbad-e-bedar mein Ik shakhs kay hathon muddat se, ruswa hai watan duniya bhar mein Iblees numa insanon ki, aye dost sana kia likhna Zulmat ko zia, sarsar ko saba banday ko khuda kya likhna
Haq baat pe korray air zindaan, batil ke shikanje main hai ye jaan Insaan hain ke sehme bethe hain, khoon-khwar darinde hain raqsaan Iss zulm-o-sitam ko lutf-o-karam, iss dukh ko dawa kya likhna Zulmat ko zia, sarsar ko saba, banday ko khuda kia likhna
Har shaam yahan shaam-e-weeran, aaseb zada raste galiyan Jis shehr ki dhun main nikle thay, woh shehr dil-e-barbad kahan Sehra ko chaman ban ko gulshan badal ko rida kia likhna Zulmat ko zia, sarsar ko saba, banday ko khuda kia likhna
Aye mere watan ke fankaro, zulmat pe na apna fan waro Ye mehl sara'on ke baasi, gatil hain sabhi apne yaro Wirsay main hamain yeh gham hai mila, iss gham ko nayaa kia likhna Zulmat ko zia, sarsar ko saba, banday ko khuda kia likhna