--FEMALE 1-- Mehndi lagaake aayi, bindiya sajaake aayi Choodi khankaake aayi, paayal chhankaake aayi Ho, ab geet milan ke gaana hai
--CHORUS-- Gaana hai, gaana hai
--FEMALE 1-- Mujhe saajan ke ghar jaana hai - 3
--CHORUS-- Mujhe saajan ke ghar jaana hai
--FEMALE 1-- Haan, mujhe saajan ke ghar jaana hai Mujhe saajan ke ghar jaana hai - 2
--FEMALE 2-- Gudiya patole the meriyaan nishaaniyaan Yaadon reh jaaniyaan
--FEMALE 1-- Bachpan beeta jawaani aayi, hoye Bachpan beeta jawaani aayi Saajan ka sandesa laayi Saiyyaanji ki sej ko jaake Phoolon se mahekaana hai Mujhe saajan ke ghar jaana hai - 2 Haan mujhe saajan ke ghar jaana hai
--FEMALE 2-- Jamdiyaan mohe piya to paraaiyaan ho jaandiyaan Piya mar jaaniyaan
--FEMALE 1-- Pal mein naata tod chali main, hoye Pal mein naata tod chali main Baabul ka ghar chhod chali main Ab to piya ke des mein Saara jeevan mujhe bitaana hai Mujhe saajan ke ghar jaana hai - 2 Haan mujhe saajan ke ghar jaana hai Oh oh oh, aah aah aah aah Beti ki taqdeer ka likha, haai Beti ki taqdeer ka likha padhke mamta royi Kisi ne isko janam diya aur le jaaye ise koi
--MALE-- Ho, sajdhajke aaye baaraati, laaye ghode haathi O, teri shaadi ke mauke pe milke sehra gaayenge Sada suhaagan rahe tu banno, tujhe duaaein de jaayenge Aaj ki raina hum logon ko jhoom jhoomke gaana hai Oye hoye!
--CHORUS-- Mujhe saajan ke ghar jaana hai - 2
--FEMALE 1-- Mujhe saajan ke ghar jaana hai Haan mujhe saajan ke ghar jaana hai Mujhe saajan ke ghar jaana hai - 2