Udit: (Agar main kahoon mujhe tumse mohabbat hai Meri bas yehi chaahat hai toh kya kahogi) -2 Alka: Main tumse kahoongi, is baat ko agar tum Zara aur saja ke kehte, zara ghooma-phira ke kehte Toh achcha hota
Udit: Agar main kahoon Tumko jab dekhoon lagti ho jaise nayi Honthh hain pankhadi phool ki Aankhein jaise jugnu chamke huwe Soche mera ye dil dhadakte huwe Agar main kahoon… Agar main kahoon ye jo chehra hai Jaise koyi chaand hai toh kya kahogi
Alka: Main tumse kahoongi Mujhko bhoole se bhi chaand tum na kaho Chaand mein toh kayin daag hai Mujhe phool na kehna woh murjhaate hain Jugnu bhi na kehna woh kho jaate hain Ye baatein puraani hai, jo mujhko sunaani hai Kissi aur adaa se kehte, zara ghooma-phira ke kehte Toh achcha hota
Udit: Agar main kahoon mujhe tumse mohabbat hai Meri bas yehi chaahat hai toh kya kahogi
Udit: Agar main kahoon Baatein sunke tumhaari main hairaan hoon Jo bhi kehna hai kaise kahoon Lagta tumhein kuchh bhi achcha nahin Sach ko bhi kehti ho sachcha nahin
Alka: Agar main kahoon.. Agar main kahoon tumhein pata nahin hai kyun Hai pyaar mujhe bhi tumse toh kya kahoge
Udit: Main tumse kahoonga, mere dil ka hai ye kehna Ham ko hai saath mein rehna
Alka: Ye dono ke dil mein hai na toh phir kyun kehna