Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai Ki jaise tujhko banaya gaya hai mere liye Ki jaise tujhko banaya gaya hai mere liye Tu abse pehle sitaaron mein bas rahi thi kahin Tu abse pehle sitaaron mein bas rahi thi kahin Tujhe zameen pe bulaya gaya hai mere liye Tujhe zameen pe bulaya gaya hai mere liye Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai Ki ye badan ye nigaahein meri amaanat hain Ki ye badan ye nigaahein meri amaanat hain Ye gesuon ki ghani chhaon hain meri khatir Ye honth aur ye baahein meri amaanat hain Ye honth aur ye baahein meri amaanat hain Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai Ki jaise bajti hain shehnaaiyaan si raahon mein Suhaag raat hain ghoonghat utha raha hoon main Suhaag raat hain ghoonghat utha raha hoon main Simat rahi hai tu sharma ke apni baahon mein Simat rahi hai tu sharma ke apni baahon mein Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai Ki jaise tu mujhe chaahegi umr bhar yoohin Uthegi meri taraf pyaar ki nazar yoohin Main jaanta hoon ki tu geir hai magar yoohin Main jaanta hoon ki tu geir hai magar yoohin Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai