Ek hasina thi
Ek deewana tha
Kya umar, kya samaa, kya zamana tha
Ek hasina thi
Hasina thi
Ek deewana tha
Deewana tha
Kya umar, kya samaa, kya zamana tha
Ek din woh mile
Roz milne lage
Ek din woh mile
Roz milne lage
Phir mohabbat huyi
Bas qayamat huyi
Kho gaye tum kahan
Sunke yeh dastaan
Log hairaan hain
Kyunki anjaan hain
Ishq ki woh gali
Baat jiski chali
Us gali mein
Mera aana, jaana tha
Ek hasina thi
Ek deewana tha
Kya umar thi, kya samaa tha, kya zamana tha
Ek hasina thi
Ek deewana tha
Oos hasin ne kaha
Oos hasin ne kaha
Suno jaanewafa
Yeh falak, yeh zameen
Tere bin kuch nahin
Tujhpe marti hoon main
Pyaar karti hoon main
Baat kuch aur thi
Woh nazar-chor thi
Uske dil mein chupi
Chaah daulat ki thi
Pyaar ka woh fakat
Ek bahana tha
Ek hasina thi
Ek deewana tha
Kya umar thi, kya samaa tha, kya zamana tha
Ek hasina thi
Ek deewana tha
Bewafa yaar ne
Apne mehboob se
Aisa dhoka kiya
(aisa dhoka kiya) (dhoka dhoka)
(aisa dhoka kiya) (dhoka dhoka)
Aisa dhoka kiya
Zaher usko diya
(dhoka dhoka dhoka) (dhoka dhoka dhoka)
Zaher usko diya
Mar gaya woh jawan
Mar gaya woh jawan
Ab suno dastaan
Janm leke kahin
Phir woh pahucha wahin
Shakl anjaan thi
Katl hairaan thi
Saamna jab hua
Saamna jab hua
Phir wahi sab hua
Uspe yeh karz tha
Uska yeh farz tha
Farz ko karz apna chukana tha
Mahalakshmi Iyer еще тексты
Оценка текста
Статистика страницы на pesni.guru ▼
Просмотров сегодня: 1