(Aye bhai jara dekh ke chalo aage hi nahi pichhe bhi Daye hi nahi baye bhi upar hi nahi niche bhi) - (2) Aye bhai
Tu jaha aaya hai vo tera ghar nahi gav nahi Gali nahi kucha nahi rasta nahi basti nahi Duniya hai aur pyare duniya yah ek sarkas hai Aur is sarkas me bade ko bhi chote ko bhi Khare ko bhi khote ko bhi mote ko bhi patle ko bhi Niche se upar ko upar se niche ko Barabar aana jana padta hai Aur ring mastar ke kode par koda jo bhukh hai Koda jo paisa hai koda jo kismat hai Tarah tarah nach kar dikhana yaha padta hai Barbar rona aur gana yaha padta hai Hiro se jokar ban jana padta hai - 2
(Aye bhai jara dekh ke chalo aage hi nahi pichhe bhi Daye hi nahi baye bhi upar hi nahi niche bhi) - (2) Aye bhai
Girne se darta hai kyu marne se darta hai kyu Thokar tu jab na khayega paas kisi gam ko na jab tak bulayega Jindgi hai chij kya nahi jan payega Rota hua aaya hai rota chala jayega
(Aye bhai jara dekh ke chalo aage hi nahi pichhe bhi Daye hi nahi baye bhi upar hi nahi niche bhi) - (2) Aye bhai
Kaisa hai karishma kaisa khilwad hai Janwar aadmi se jyada wafadar hai Khata hai koda bhi rahta hai bhukha bhi Fir bhi vo malik par karta nahi war hai Aur insan yah maal jis ka khata hai Pyar jis se pata hai geet jiske gata hai Usike hi sine me bhokta katar hai
Aye bhai jara dekh ke chalo aage hi nahi pichhe bhi Daye hi nahi baye bhi upar hi nahi niche bhi Aye bhai
Sarkas ha ha ha Ha babu yah sarkas hai sho tin ghante ka Pahla ghanta bachpan hai dusra javani hai Tisra budhapa hai
Aur uske baad maa nahi baap nahi Beta nahi beti nahi tu nahi Mai nahi kuch bhi nahi rahta hai Kuch bhi nahi rahta hai Rahta hai jo kuch vo khali khali kursiya hai Khali khali tambu hai khali khali ghera hai Bina chidiya ka basera hai na tera hai na mera hai