Aaaaa... Zamane ne kaha tooti hui tasweer banti hai Tere darbaar main bigdi hui taqdeer banti hai
Tareef teri nikli hai dil se Aayi hai lab pe ban ke qawaali Shirdi wale sai baba Aaya hai tere dar pe sawali
Shirdi wale sai baba Aaya hai tere dar pe sawali
Lab pe duayen aakhon main aansoon Dil main umeedein par jholi khali Shirdi wale sai baba Aaya hai tere dar pe sawali
Dar pe sawali, aaya hai dar pe sawali
Shirdi wale sai baba Aaya hai tere dar pe sawali
Ooo...
O mere sai deva tere sab naam lewa
O mere sai deva tere sab naam lewa
Khuda insaan saare sabhi, tujhko hain pyaare Sune fariyaad sabki, tujhe hai yaad sabki Bada ya koi chhota, nahi mayoos lauta Ameeron ka sahara, gareebon ka guzara Teri rahmat ka kissa bayan akbar kare kya Do din ki duniya, duniya hai gulshan Sab phool kaante, too sab ka mali
Shirdi wale sai baba Aaya hai tere dar pe sawali
Khuda ki shaan tujhme Dikhe bhagwaan tujhme
Khuda ki shaan tujhme Dikhe bhagwaan tujhme
Tujhe sab maante hain Tera ghar jaante hain Chale aate hain daude Jo khush kismat hain thode Yeh har rahi ki manzil Yeh har kashti ka sahil Jise sab ne nikala Use toone sambhala
Jise sab ne nikala Use toone sambhala
Too bichhdon ki milaye Bujhe deepak jalaye
( Too bichhdon ki milaye Bujhe deepak jalaye ) (2)
Yeh gam ki raatain, raatain yeh kaali Inko banade id aur diwali
Shirdi wale sai baba Aaya hai tere dar pe sawali
Lab pe duayen aakhon main aansoon Dil main umeedein par jholi khali
( Shirdi wale sai baba Aaya hai tere dar pe sawali