Ishq woh bala hai Ishq woh bala hai Jisko chhuaa isne woh jala hai Dil se hota hai shuru Dil se hota hai shuru Par kambakht sar pe chadha hai Kabhi khud se, kabhi khuda se Kabhi zamaane se lada hai Itna hua badnaam phir bhi Har zubaan pe ada hai
Ishq ki..saazishein Ishq ki..baaziyaan Haara main khel ke Do dilon ka juaa
Kyun tune meri fursat ki Kyun dil mein itni harqat ki Ishaq mein itni barqat ki Ye tune kya kiya..
Phiru ab maara maara main Chaand se bichhda taara main Dil se itna kyun haara main Ye tune kya kiya..
Saari duniya se jeet ke Main aaya hoon idhar Tere aage hi main haara Kiya tune kya asar
Main dil ka raaz kehta hoon Ke jab jab saansein leta hoon Tera hi naam leta hoon Ye tune kya kiya
Meri baahon ko teri saanson ki jo Aadatein lagi hain waisi Jee leta hoon ab main thoda aur
Meri dil ki ret pe Aankhon ki jo pade parchhai teri Pee leta hoon tab main thoda aur
Jaane kaun hai tu meri Main naa jaanu ye magar Jahaan jaaun main karoon main wahaan Tera hi zikar
Mujhe tu raazi lagti hai Jeeti hui baazi lagti hai Tabiyat taazi lagti hai Ye tune kya kiya
Main dil ka raaz kehta hoon Ke jab jab saansein leta hoon Tera hi naam leta hoon Ye tune kya kiya
Dil karta hai, teri baatein sunu Saude main adhoore chunu Muft ka hua ye faayda Kyun khud ko main barbaad karoon Fanaa hoke tunhse miloon Ishq ka ajab hai qaayda Teri raahon se jo guzri hain meri dagar Main aage badh gaya hoon Thoda hoke be-fikar
Kaho toh, kis se marzi loon Kaho toh, kis ko arzi doon Hansta ab thoda farzi hoon Ye tune kya kiya
Main dil ka raaz kehta hoon Ke jab-jab saansein leta hoon….
Ishq ki..saazishein Ishq ki..baaziyaan Haara main khel ke Do dilon ka juaa.a