Hey Humnava mujhe apna bana le Sookhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de
hmm.. hoon akela, zara haath badha de Sookhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de
Kab se main dar dar phir raha Musaafir dil ko panaah de Tu awaargi ko meri aaj thehra de Ho sake toh thoda pyaar jataa de Sookhi padi iss dil ki zameen ko bhiga de
Murjhaayi si shaakh pe dil ki Phool khilte hain kyun Baat gulon ki zikr mehak ka Acha lagta hai kyun Un rango se tune milaaya Jinse kabhi main mill na paaya
Dil karta hai tera shukriya Phir se bahaare tu laa de Dil ka soona banjar mehka de Sukhi padi dil ki is zameen ko bhiga de
hmm.. hoon akela, zara haath badha de Sookhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de
Waise toh mausam guzre hain Zindagi mein kayi Par ab naa jaane kyun mujhe wo Lag rahe hain haseen
Tere aane par jaana maine Kahin na kahin zinda hoon main Jeene lagaa hoon main ab ye fizaayein Chehre ko chhooti hawaayein
Inki tarah do kadam toh badha le Sookhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de O.. hoon akela, zara haath badha de Sookhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de