Koi jaane naa ye kaisi aag hai Ye mere dil ko dasta kaisa naag hai Har ghadi main jisko dhoondoon Haan kahin na kahin toh Mujhko mil hi jaayega Dushman Mera
Mujhe dhoondna aasaan hai kahaan Zameen dekh lo yaa aasmaan Main ik pal yahaan Main ik pal hoon wahaan Nahin paaoge mera nishaan Jo koi bhi mujhko dhoonde Woh kuch naa paayega Dil mein hi woh dil ke armaan Wapas le jaayega Samjhe zara Dushman Mera
Inn aankhon mein hai kaisi jwala Iss ko mat bujhne dena Sun lo mera kehana Gusse mein kitni dilkash lagti ho tum Jab tak bhi reh paao tum Gusse mein hi rehna aa….
Mera gussa toh dekhoge ek din Mere dil mein kya hai Janoge ek din
Tum se main itna keh doon Woh din jab aayega Dil mein hi woh dil ke armaan Wapas le jaayega Samjhe zara Dushman Mera.
Heere jo lagte hain woh mumkin hai angaare ho Chingari lagte hai jo ho sakta hai taare ho Aankhein dhokha khati hai Ye kis ko pata nahi Jaane kya hai yahaan Jaane yahaan kya nahi Hai yeh maya
Chehre hain sab ek se Tu kaise pehchanega Dushman hai yaa dost hai Tu kaise ye jaanega Aankhein dhokha khati hai Ye kis ko pata nahi Jaane kya hai yahaan Jaane yahaan kya nahi Hai yeh maya Hai yeh maya Hai yeh maya…