Pyaar mein, ik dil ki jeet hai, ik dil ki haar hai Har dil hai mohra pyaar mein Pyaar mein, ik dil maqroor hai, ik gham se choor hai Har dil hai mohra pyaar mein Ho ho ho, kisi ke liye, rab ki raza Kisi ke liye, gehari saza Dono chehre iss ke juda Hai maza pyaar mein Pyaar mein, ik dil ki jeet hai, ik dil ki haar hai Har dil hai mohra pyaar mein
Kehte hain pyaar woh hai, kaanto ka haar jo hai Ya phir kisi ki khaatir, rimjim puhaar woh hai Chingaariyon ke jaisa, dil ka malaal hai toh Takdeer mein kisi ki, jashn-e-bahaar woh hai Ek sa, kab iss ka roop hai Ik pal yeh doop hai Ik pal hai kohra pyaar mein Pyaar mein, ik dil ki jeet hai, ik dil ki haar hai Har dil hai mohra pyaar mein
Ho ho ho, kisi ke liye, ujli subha Kisi ke liye, hai kadvi zuban Dono chehre iss ke juda Hai maza pyaar mein Marz kabhi, kabhi hai daba Kabhi hai adam toh kabhi hai dhuan Dono chehre iss ke juda Hai maza pyaar mein
Ik dil ka hausla hai, khushiyon ka silsila hai Toh koi dil bechaara, rukha hai dil jala hai Tohfe mein yeh kisi ko, dono jahaan de de Badle mein kyun kisi ko, afsos hi mila hai Pankh hain, kyun ik dil ke liye Aur dujhe ke liye Har lamha behra pyaar mein Pyaar mein, ik dil ki jeet hai, ik dil ki haar hai Har dil hai mohra pyaar mein
Ho ho ho, kise ke liye, mehki hawa Kise ke liye, hai sirf jafa Dono chehre iss ke juda Hai maza pyaar mein Marz kabhi, kabhi hai daba Kabhi hai adam toh kabhi hai dhuan Dono chehre iss ke juda Hai maza pyaar mein