Janam janam ho tu hi mere paas Maa Janam janam ho tu hi zameen aasman
Janam janam ho tu hi mere paas Maa Janam janam ho tu hi zameen aasman
Yeh hai khabar dil mein kahin Rab reh rehta hai magar Mere dil mein rehti bholi bhali meri Maa Mere dil mein rehti bholi bhali meri Maa
Janam janam (bholi bhali meri maa) Pagli hai duniya Rab ko manaane Mandir mazaaron tak jaati hai Ghar mein hi mere hota hai teerath Mujhko nazar jab Maa aati hai Mujhko nazar jab Maa aati hai
Janam janam tu meri ardaas Maa Janam janam tu mera ehsaas Maa Sach ka pata dil mein hi hai Par mujhko yeh pata Mere dil mein rehti bholi bhali meri Maa Mere dil mein rehti bholi bhali meri Maa
Bachpan se ab tak Maa se kya seekha Main yeh jahaan ko batlaaoonga Jab naaz hoga tumko bhi mujh pe Woh din yakeenan main laaoonga Woh din yakeenan main laaoonga
Janam janam hoon tera vishwas Maa.. Janam janam rahoon main tere paas Maa In khwaahishon in koshishon se pehle to magar Mere dil mein rehti bholi bhali meri Maa Mere dil mein rehti bholi bhali meri Maa