Hai maun mein doobi duniya Tera qissa kaun sunaaye Jo kahe, tujhe na jaane Jo jaane, keh na paaye
Khwaabon ka musafir navazina kaafir Saaiyaan ye bata de kahan hu main aakhir Ye kaisi hai teri aankh micholi Mujhe ghar le ja humjoli Dil darbadar mera dil darbadar Dil darbadar mera dil darbadar
Tu mera hi saaya Main teri hi chaaya Main tere bina zaaya Ragon mein bahaa tu Nazar mein rahaa tu Magar na nazar aaya
Tujh se hi chal ke main guzra Tujhpe hi aa thehra re Tu mujhko main tujhko Jaata kya hai mera Ye kaisi hai teri aankh-micholi Mujhe ghar le ja humjoli Dil darbadar mera dil darbadar Dil darbadar mera dil darbadar
Main shaakhon se toota Hawaoon se rootha Udaa ja raha hoon kahaan Aa jaaun kahin main Khilunga wahin mein Mile mujhko tu jahaan
Aa mil ja mujhse me kabse dekhun teri raahein Beeta ek arsa main tarsa ab khol de baahein Ye kaisi hai teri aankh-micholi Mujhe ghar le ja humjoli
Dil darbadar mera dil darbadar Dil darbadar mera dil darbadar Dil darbadar hai.. Darbadar.. darbadar dil hai Hai dil darbadar Dil darbadar hai...