Kehte hain: Khuda ne iss jahaan mein Sabhi ke liye kisi na kisi ko hai banaaya har kisi ke liye Tera milna hai uss rab ka ishaara Maano mujhko banaya tere jaise hi kisi ke liye
Kuch toh hai tujh se raabta Kuch toh hai tujh se raabta Kaise hum jaane, hume kya pata Kuch toh hai tujh se raabta Tu humsafar hai Phir kya fikar hai Jeene ki wajah hi yehi hai Marna issi ke liye
Kehte hain: Khuda ne iss jahaan mein Sabhi ke liye kisi na kisi ko hai banaaya har kisi ke liye…
hmm Meharbaani jaate-jaate mujhpe kar gaya Guzarta saa lamha ek daaman bhar gaya Tera nazaara mila, roshan sitaara mila Taqdeer ki kashtiyon ko kinara mila
Sadiyon se tarse hai jaisi zindagi ke liye Teri sohbat mein duaayein hain ussi ke liye Tera milna hai uss rab ka ishaara Maano mujhko banaya tere hi jaise kisi ke liye
Kuch toh hai tujh se raabta Kuch toh hai tujh se raabta Kaise hum jaane hume kya pata Kuch toh hai tujhse raabta
Tu humsafar hai, phir kya fiqar hai Jeene ki wajah hi yehi hai Marna issi ke liye
Kehte hain: Khuda ne iss jahaan mein Sabhi ke liye kisi na kisi ko hai banaaya Har kisi ke liye…