Teri meri, meri teri prem kahani hai mushqil Do lafzoon mein yeh bayaan na ho paaye Ik ladka ik ladki ki yeh kahani hai nayi Do lafzoon mein yeh bayaan na ho paaye
Teri meri, meri teri prem kahani hai mushqil Do lafzon mein yeh bayaan na ho paaye Ik dooje se huey juda Jab ik dooje ke liye bane
Teri meri, meri teri Prem kahani hai mushqil Do lafzon mein yeh bayaan na ho paaye
Aaa...
Tumse dil jo lagaya toh jahaan maine paaya Kabhi socha na tha yun meelon door hoga saaya Kyun khuda tune mujhe aisa khwaab dikhaya Jab haqiqat mein usey todna tha
Aa....
Ik dooje se huye judaa, jab ik dooje ke liye bane Teri meri, meri teri prem kahani hai mushqil Do lafzon mein yeh Bayaan na ho paaye
Teri meri baaton ka har lamha Sab se anjaana, do lafzoon mein yeh Bayaan na ho paaye
Har ehsaas mein tu hai Har ik yaad mein tera afsaana Do lafzon mein yeh bayaan na ho paaye
Aaaa...
Sara din bit jaaye, Saari raat jagaye Bas khayal tumhara lamha lamha tadpaye Yeh tadap keh rahi hai mit jaaye faasle Yeh Tere mere darmayaan hai Jo saare
Ik dooje se huey juda Jab ik dooje ke liye bane Teri meri baaton ka har lamha Sab se anjaana Do lafzon mein yeh Bayaan na ho paaye
Har ehsaas mein tu hai har ik yaad mein tera afsaana Do lafzon mein yeh bayaan na ho paaye
Teri meri, meri teri prem kahani hai mushqil Do lafzon mein yeh bayaan na ho paaye