Shah E Madina Suno, Iltija Khuda K Liyeah Karam Ho Mujh Pe Habibi E Khuda Khuda K Liyeah Huzoor Uncha E Ummed Ub To Khil Ja\\'ay Tumharay Der Ka Gada Hoon To Bhi Tum He Ja\\'ay?
Bhar Do Jholi, Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad Lout Ker Mein Na Jaoon Ga Khali
Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad Lout Ker Mein Na Jaoon Ga Khali Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad Lout Ker Mein Na Jaoon Ga Khali
Bhar Do Jholi, Bhar Do Jholi, Bhar Do Jholi Hum Sub Ki Bhar Do Jholi, Bhar Do Jholi, Bhar Do Jholi Mohammad Bhar Do Jholi Ata Ki Bhar Do Jholi Bhar Do Jholi, Bhar Do Jholi, Bhar Do Jholi
Tumhare Aastanay Say Zamana Kya Nahi Paata Koi Bhi Dar Say Khaali Mangnay Wala Nahi Jata
Bhar Do Jholi Meri Sirkar-e-madina Bhar Do Jholi Meri Tajdar-e-madina
Tum Zamanay K Mukhtar Ho Ya Nabi Bekasoon K Madadgaar Ho Ya Nabi Sub Ki Suntay Ho Apne Ho Ya Ghair Ho Tum Ghareebon K Ghamkhaar Ho Ya Nabi
Bhar Do Jholi Meri Sirkar-e-madina Bhar Do Jholi Meri Tajdar-e-madina
Hum Hein Ranj-o-musibat K Maray Hoay Sakht Muskhil Say Hein Gham Say Haray Hoay Ya Nabi Kuch Khudara Hamein Bheek Do Dar Pay Aain Hein Jholi Pasaray Hoay
Bhar Do Jholi Meri Sirkar-e-madina Bhar Do Jholi Meri Tajdar-e-madina
Hein Mukhalif Zamana Kidhar Ja\\'ay Hum Halat-e-bekasi Kiss Ko Dikhla\\'ay Hum Hum Tumhare Bhikari Hein Ya Mustafa Kiss K Aagay Bhala Haath Phailaein Hum
Bhar Do Jholi Meri Sirkar-e-madina Bhar Do Jholi Meri Tajdar-e-madina
Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad Lout Ker Mein Na Jaoon Ga Khaali
Aaa... (chants)
Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad Lout Ker Mein Na Jaoon Ga Khaali Kuch Nawasoon Ka Sadqa Ata Hoo Dar Pay Aaya Hoon Bun Ker Sawali
Aaa...
Haq Say Paayi Wo Shaan-e-karimi Marhaba! Dono Aalam K Waali Us Ki Qismat Ka Chamka Sitara Jiss Pe Nazr-e-karam Tum Ne Daali
Aaa...
Zindagi Bakhsh Di Bandagi Ko Aabro Deen-e-haq Ki Bacha Li Wo Muhammad Ka Pyara Nawasa Jiss Ne Sajday Mein Gardan Kata Li
Zindagi Bakhsh Di Bandagi Ko Aabro Deen E Haq Ki Bacha Li Jo Ibn-e-murtaza Ne Kia Kaam Khoob Hai Qurbani-e-hussain Ka Anjaan Khoob Hai
Qurbaan Ho Ke Fatima Zehra K Chain Ne Deen-e-khuda Ki Shaan Barhai Hussain Ne Bakhshi Hai Jiss Ne Mazhab-e-islam Ko Hayaat Kitni Azeen Hazrat-e-shabbir Ki Hai Zaat
Maidaan-e-karbala Mein Shah-e-khush Khisaal Nai Sajday Mein Sir Kata K Muhammad K Laal Nai To Zindagi Bakhsh Di Bandagi Ko Aabro Deen-e-haq Ki Bacha Li
Woh Muhammad Ka Pyara Nawasa Jiss Ne Sajde Mein Gardan Kata Li Woh Muhammad Ka Pyara Nawasa Jiss Ne Sajde Mein Gardan Kata Li
Aaa...
Hashr Mein Un Ko Daikhein Gay Jiss Dam Ummati Yeh Kahein Gay Khushi Say Aa Rahay Hein Wo Daikho Muhammad Jin K Kandhay Pay Kamli Hai Kaali
Mehshar K Rooz Paish-e-khuda Hoon Gay Jiss Ghari Hogi Gunaah Gaaron Mein Kiss Darja Bekali Aatay Hoay Nabi Ko Jo Daikhein Gay Ummati Ik Dosre Say Sub Yeh Kahein Gay Khushi Khushi
Aa Rahay Hein Wo Daikho Muhammad Aa Rahay Hein Wo Daikho Muhammad Aa Rahay Hein Wo Daikho Muhammad Aa Rahay Hein Wo Daikho Muhammad
Aaa...
Sir-e-mehshar Gunaah Gaaron Say Pursish Jiss Khari Hogi Yaqeenan Her Bashar Ko Apni Bakshish Ki Pari Hogi Sub He Ko Aas Us Dam Kamli Walay Say Lagi Hogi K Aisay Mein Muhammad Ki Sawari Aa Rahi Hogi
Pukaray Ga Zamana Us Ghari Dukh Dard K Maaro Na Ghabrao Gunaahgaaro! Na Ghabrao Gunaahgaaro! Aa Rahay Hein Wo Daikho Muhammad Jin K Kaandhay Pay Kamli Hai Kaali
Aaa...
Aashiq-e-mustafa Ki Azaan Mei Allah Allah Kitna Asar Tha
Sacha Yeh Waqia Hai Azaan-e-bilal Ka Ik Din Rasool-e-paak Say Logo Ne Yoon Kaha Ya Mustafa Azaan Ghalat Daitay Hein Bilal Kahiyeh Huzoor Aap Ka Is Mei Hai Kya Khayal
Farmaya Mustafa Nai Yeh Such Hai To Daikhe Tapte Sehr Ki Aaj Azaan Koi Aur Day Hazrat Bilal Nai Jo Azaan-e-sehr Na Di Qudrat Khuda Ki Daikho Na Mutlak Sehr Howi
Aaa...
Hazrat Bilal Nai Jo Azaan-e-sehr Na Di Qudrat Khuda Ki Daikho Na Mutlak Sehr Howi Aaye Nabi K Paas Phir Ashaab-e-ba-safa Ki Arz Mustafa Say K Ya Shah-e-ambiya
Hai Kya Sabab Sehr Na Howi Aaj Mustafa Gibreal Laaye Aisay Mein Paighaam-e-kibriya Pehlay To Mustafa Ko Adab Say Kia Salaam Baad-as-salaam Un Ko Khuda Ka Dia Payaam
Yoon Gibreal Ne Kaha Khair-ul-anaam Say K Allah Ko Hai Pyaar Tumhare Ghulaam Say Yoon Gibreal Ne Kaha Khair-ul-anaam Say Allah Ko Hai Pyaar Tumhare Ghulaam Say
Yoon Gibreal Ne Kaha Khair-ul-anaam Say Allah Ko Hai Pyaar Tumhare Ghulaam Say Farma Raha Hai Aaj Say Yeh Rub-be-zuljallal K Hogi Na Subah Dein Gay Na Jab Tak Azaan Bilal
Aashiq-e-mustafa Ki Azaan Mein Allah Allah Kitna Asar Tha Arsh Walay Bhi Sunn\\'tay Thay Jiss Ko Kya Azaan Thi Azaaan-e-bilali
Aaa...
Kaash Purnam Dayyar-e-nabi Mein Jeetay Ji Ho Bulawa Kisi Din Haal-e-gham Mustafa Ko Sunaaon Thaam Ker Un K Rozay Ki Jaali
Aaa... Haal-e-gham Mustafa Ko Sunaaon Thaam Ker Un K Rozay Ki Jaali Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad Lout Ker Mein Na Jaoon Ga Khaali.