Kholo kholo darwaze Parde karo kinare Khutey se bandhi hai hawa Mil ke chudao saare Aajao patang leke Apney hi rang leke Aasmaan ka shamiyana Aaj hamein hai sajana
Kyun is kadar hairaan tu Mausam ka hai mehmaan tu Duniya sajee tere liye Khud ko zara pehchaan tu Tu dhoop hain jham se bikhar Tu hai nadee o bekhabar Beh chal kahin ud chal kahin Dil khush jahan teri toh manzil hai wahin Kyun is kadar hairaan tu Mausam ka hai mehmaan tu Baasi zindagi udaasi Taazi hasney ko raazi Garma garma saari Abhi abhi hai utaari Oh zindagi to hain batasha Meethi meethi si hai aasha Chakh le rakh le Hatheli se dhak le ise Tujh mein agar pyaas hai Baarish ka ghar bhi pass hai Roke tujhe koi kyon bhala Sang sang tere aakash hai Tu dhoop hain jham se bikhar Tu hai nadee o bekhabar Beh chal kahin ud chal kahin Dil khush jahan teri toh manzil hai wahin Khul gaya aasmaan ka rasta dekho khul gaya Mil gaya kho gaya tha jo sitara mil gaya Roshan hui saari zameen Jagmag hua saara jahaan Oh udne ko tu aazad hai bandhan koi ab hai kahan Tu dhoop hain jham se bikhar Tu hai nadee o bekhabar Beh chal kahin ud chal kahin Dil khush jahan teri toh manzil hai wahin Oh kyun is kadar hairaan tu Mausam ka hai mehmaan tu