Гуру Песен Популярное
А Б В Г Д Е Ж З И К Л М Н О П Р С Т У Ф Х Ц Ч Ш Э Ю Я
# A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z

Shankar Mahadevan - Breathless Reprise | Текст песни

main hoon aur khoye hue pyaar ki yaadein hain (3) (and fades from right to left)
ab jo mere din aur ab jo meri raatein hain
unmein sirf aasun hain
unmein sirf dard ki ranj ki baatein hai
aur faryadein hain
mera ab koi nahin
main hoon aur khoye hue pyaar ki yaadein hain
doob gaya hai dil gham ke andhare
meri saari duniya hai dard ke ghere main
mere saare geet dhale aahon main
banke deewana ab yahan wahan phirta hoon
thokar khata hoon un rahaon main
jahan use dekha tha
jahan use chaha tha
jahan main hasa tha
aur badmein roya tha
jahan use paya tha
pake khoya tha
jahan kabhi fulon ke kaliyo ke saaye the
rangeen rangeen mehki rut ne
har ek kadam pe ras rachaye the
gulshan gulshan
din main ujale the jagmag jagmag
noor tha raaton main jhilmil jhilmil
jahan maine kh(w)aboN ki dekhi thi manjil
jahan meri kashti ne paya tha sahil
jahan maine payee thi palkhon ke chhav
jahan meri bahon main kal thi kisi ki marimari bahein
jahan ek chehre se hatti nahi thi meri nigahein
jahan kal narmi hinarmi hi thi
pyar hi payaar tha hathon main hath thei
jahan kal gaye the prem tarane
jahan kal dekhe the sapne sunahne
kisi ko sunaye the dil ke fasane
jahan kal khayi thi jeene ki marne ki kasme
todithi duniya ki saari rasmein
jahan kal barsa tha prit ka badal
jahan maine thama tha koi aachal
jahan pehli baar mein hua tha pagal
ab uun rahon mein koi nahi hai
ab hai woh rahe veera veera
dil bhi jaise hairan hairan
jaane kaha gaya mera sapno ka mela
aise hi khayalo mein khoya khoya
ghoom raha tha mein kabse akela
chamka sitara jaise koi gagan mein
gunji sadaa koi man aangan mein
kisi ne pukara mujhe
mud ke jo dekha maine
mil gaya khoya hua dil ka sahara mujhe
jise maine chaha tha
jise maine puja tha
laut ke aaya hai
thoda sharminda thoda ghabraya hai
zulf pareshan hai
kaampte hout aur bheegi hui ankhen
dekh raha mujhe gumsum gumsum
uski nazar jaise puch rahi hai
itna toh bata do kahi khafa toh nahi tum
pyaar jo dakhi phir meri nigahoon mein
agle hi pal tha woh meri in bahon mein
bhool gaya mera dil jaise har gham
badal gaya jaise duniya ka mausam
jhome nazare aur jhumi fizaien aur jhome thei mann aur jhumi hawaein
jaise phir gaane lagi saari dishayen
kitni hasiN hai kitni suhani
hum dono ki prem kahani (3)

Shankar Mahadevan еще тексты


Видео
Нет видео
-
Оценка текста
Статистика страницы на pesni.guru ▼
Просмотров сегодня: 1