Гуру Песен Популярное
А Б В Г Д Е Ж З И К Л М Н О П Р С Т У Ф Х Ц Ч Ш Э Ю Я
# A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z

Shikhar / Неслучайные знакомые - Aap Ko Samjha | Текст песни

haa aapko samjha hai jabse zindagi
aapko samjha hai jabse zindagi
zindagi ab zindagi lagne lagi - 2
aapki baahon mein jabse aa gaye - 2
aaisa lagta hai ke manzil pa gaye- 2

(in aankhon mein shararat hai sharafat hai
hai bala ki shaukhiya kaisi yeh qayamat hai) - 2
iss kadar najdeekiya kehti hai ishaaron se
aa gaye manzil pe hum in dil ki raahon se
aapki har baat mein ek baat hai - 2
der se samjhe magar kya baat hai - 2

(kayi armaan dil mein aur uljhan yeh
jaan lewa hain mohabbat yeh mohabbat yeh) - 2
ha aa gaye ham zindagi mein ek aaise mod par
jee nahi sakte mohabbat ka yeh daaman chodkar
aapki iss ashiqui ko kya kahe - 2
apne is dil ki lagi ka kya kare - 2

aapko samjha hai jabse zindagi
aapki baahon mein jabse aa gaye
zindagi ab zindagi lagne lagi
aaisa lagta hai ke manzil pa gaye

Shikhar / Неслучайные знакомые еще тексты


Статистика страницы на pesni.guru ▼
Просмотров сегодня: 1
Видео
Нет видео
-