Jism is tarah, dard se bhara Rooh ki koi bachi nahin jagah Pyaar dhaal tha, magar nidhaal sa Mujhe hi loot'ti, rahi meri panaah
Dheere dheere jal rahaa Jal ke pighal rahaa Behta chala hai dil mera.. Main hoon kya? Mere Khuda...
Kaatun main kyun ye sazaa Piya... kaahe pehle milaaye Jab aakhir hi judaai hai Dil se kyun khele bataa..
Dekh pyaasi hai jaan Hai udaasi yahaan Khaali khaali jahaan Bemaza har samaa Lab sookhe-sookhe Naina bheege-bheege Rootha-rootha sa mann Jis tann laage aisi beqaraari Jaane bas wohi tann Uljha hoon kab se main, suljha.. Main hoon kya? Mere Khuda...
Kaatun main kyun ye saza.. Piya... kaahe pehle milaaye Jab aakhir hi judaai hai Dil se kyun khele bataa..
Haar maane nahin, bewajah sa yaqeen Yaar to hai kahin, benaseebi yahin Kaise main bhulaaun ya main bhool jaaun Beeta hua mera kal Kahaan chala jaaun, jaake dhoond laaun Pyaare apne woh pal Tune kabhi kya ye socha Main hoon kya? Mere Khuda...
Kaatun main kyun yeh saza... Piya... kaahe pehle milaaye Jab aakhir hi judaai hai Dil se kyun khele bataa..