Tu hi tu, tu hi tu, satrangi re Tu hi tu, tu hi tu, manrangi re Tu hi tu, tu hi tu, satrangi re Tu hi tu, tu hi tu, manrangi re
Dil ka saaya humsaaya Satrangi re, manrangi re
Koi noor hai tu, Kyun door hai tu Jab paas hai tu Ehsaas hai tu Koi khwaab hai ya parchhayi hai, satrangi re… Satrangi re…..
Is baar bata, Muhzor hawa Thehregi kahaan?
Ishq par zor nahin Hai yeh woh aatish Ghalib Jo lagaye na lage Aur bujhaye na bane Jo lagaye na lage Aur bujhaye na bane Ishq par zor nahin Hai yeh woh aatish Ghalib
Aankhon ne kuchh aise chhuaa Halka halka uns huaa Halka halka uns huaa Dil ko mehsoos huaa
Tu hi tu, tu hi tu, jeene ki saari khushbu Tu hi tu, tu hi tu, aarzoo aarzoo Tere jism ki aanch ko chhoote hi Mere saans sulagne lagte hain Mujhe ishq dilaase deta hai Mere dard bilakhne lagte hain
Tu hi tu, tu hi tu jeene ki saari khushbu Tu hi tu, tu hi tu, aarzoo aarzoo
Chhooti hai mujhe sargoshi se Aankhon mein ghuli khamoshi se Main farsh pe sajde karta hoon Kuchh hosh mein kuchh behoshi se
Dil ka saaya humsaaya Satrangi re, manrangi re
Koi noor hai tu, kyun door hai tu Jab paas hai tu ehsaas hai tu Koi khwaab hai ya parchhayi hai, satrangi re…
Teri raahon mein uljha-uljha hun Teri baahon mein uljha-uljha Suljhane de hosh mujhe Teri chaahon mein uljha hun
Teri raahon mein uljha-uljha hun Teri baahon mein uljha-uljha Suljhane de hosh mujhe Teri chaahon mein uljha hun
Ishq par zor nahin Hai yeh woh aatish Ghalib Jo lagaye na lage Aur bujhaye na bane Jo lagaye na lage Aur bujhaye na bane Ishq par zor nahin Hai yeh woh aatish Ghalib
Mujhe maut ki god mein sone de Mujhe maut ki god mein sone de
Mujhe maut ki god mein sone de Teri rooh mein jism dubone de Teri rooh mein jism dubone de Satrangi re, manrangi re… Satrangi re, manrangi re…