Apne karam ki kar adaayein Yaara, Yaaraa... yaara! Manzilein ruswa hain Khoya hai raasta Aaye le jaaye Itni si iltejaa Ye meri zamanat hai Tu meri amaanat hai haan...
Mujhko iraade de Kasamein de, waade de Meri duaaon ke ishaaron ko sahaare de Dil ko thikaane de Naye bahaane de Khaabon ki baarishon ko Mausam ke paimane de Apne karam ki kar adaayein Kar de idhar bhi tu nigaahein
Sun raha hai naa tu Ro raha hoon main Sun raha hai naa tu Kyun ro raha hun main (x2)
Yaaraa....
Waqt bhi thehara hai Kaise kyun ye huaa Kaash tu aise aaye Jaise koi duaa Tu rooh ki raahat hai Tu meri ibaadat hai
Apne karam ki kar adayein Kar de idhar bhi tu nigaahein
Sun raha hai naa tu Ro raha hoon main Sun raha hai naa tu Kyun ro raha hun main
Apne karam ki kar adaayein Kar de idhar bhi tu nigaahein