Sandese aate hain Humein tadpaate hain To chitthi aati hai To poochh jaati hai Ke ghar kab aaoge Ke ghar kab aaoge Likho kab aaoge Ki tum bin ye ghar soona soona hai Sandese aate hain Humein tadpaate hain To chitthi aati hain To poochh jaati hai Ke ghar kab aaoge Ke ghar kab aaoge Likho kab aaoge Ki tum bin ye ghar soona soona hai Kisi dilwaali ne kisi matwaali ne Humein khat likkha hai Ki humse poochha hai Kisi ki saason ne kisi ki dhadkan ne Kisi ki choodi ne kisi ke kangan ne Kisi ke kajre ne kisi ke gajre ne Mahekti subahon ne machalti shaamon ne Akeli raaton ne adhoori baaton ne Tarasti baahon ne Aur pooccha hai tarsi nighahon ne Ke ghar kab aaoge Ke ghar kab aaoge Likho kab aaoge Ki tum bin ye dil soona soona hai
Sandese aate hain Humein tadpate hain To chitthi aati hai To pooche jaati hai Ke ghar kab aaoge Ke ghar kab aaoge Likho kab aaoge Ki tum bin ye ghar soona soona hai Mohabbat walon ne hamare yaaron ne Humein ye likkha hai ke humse poochha hai Hamare gaaon ne aam ki chaaon ne Puraane peepal ne baraste baadal ne Khet khaliayaanon ne hare maidaanon ne Basanti belon ne jhoomti belon ne Lachakte jhulon ne behekte phoolon ne Chatakti kaliyon ne Aur poochha hain gaaon ki galiyon ne Ke ghar kab aaoge Ke ghar kab aaoge Likho kab aaoge Ki tum bin gaaon soona soona hai Sandese aate hain Humein tadpate hain To chitthi aati hai To pooche jaati hai Ke ghar kab aaoge Ke ghar kab aaoge Likho kab aaoge Ki tum bin ye ghar soona soona hai Ohh Ohhhh Ohhh … Kabhi ek mamta ki Pyaar ki ganga ki Vo chitthi aati hai Saath vo laati hai Mere din bachpan ke Khel vo aangan ke Vo saaya aanchal ka Vo teeka kaajal ka Vo lori raaton mein vo narmi haathon mein Vo chaahat aankhon mein vo chinta baaton mein Bigadna oopar se mohabbat andar se Kare vo devi maa Yahin har khat mein poochhe meri maa Ke ghar kab aaoge Ke ghar kab aaoge Likho kab aaoge Ki tum bin aangan soona soona hai Sandese aate hain Humein tadpate hain To chitthi aati hai To pooche jaati hai Ke ghar kab aaoge Ke ghar kab aaoge Likho kab aaoge Ki tum bin ye ghar soona soona hai ohohho.. Ay guzarne waali hava bata Mera itna kaam karegi kya Mere gaanv ja mere doston ko salaam de Meri gaanv mein hai jo vo gali Jahaan rehti hai meri dilruba Usay mere pyaar ka jaam de Usay mere pyaar ka jaam de Vahin thodi door hai ghar mera Mera ghar mein hai meri boodhi maa Mere maa ke pairon ko chhooke Usay uske beta ka naam de Ay guzarne waali hava zara Mere doston meri dilruba Meri maa ko mera paiyam de Unhe jaake tu ye paigam de Main vaapas aaoonga Main vaapas aaoonga Phir apne gaaon mein Usiki chaaon mein Ki maa ke aanchal se Gaanv ke peepal se Kisike kaajal se Kiya jo vaada tha vo nibhaoonga Main ek din aaoonga Main ek din aaoonga Main ek din aaoonga Main ek din aaoonga Main ek din aaoonga Main ek din aaoonga Main ek din aaoonga Main ek din aaoonga