Aaj phir din hua, phir armaan jagne lagey Chahatein uthi nayi, lo seenay mein benaam si Khwaahishein dabi hui, kayi dil mein kayi Kya hua kyun bhala, dil mazaaron se ho gaye Reham o karam ho jaaye dobara Reham o karam ho jaane do ishaara Reham o karam ho jaaye dobara Reham o karam ho jaane do khudara
Tere bina sardi mein woh garmi si na rahi Na garmi mein hai tere pyaar ki thandak Hoo tere bina badle saare mausam kyun iss tarah Kuch bolo, lab kholo, do yeh bata Taras gayi, baras gayi ab yeh nazar De do mujhe zindagi nayi Reham o karam ho jaaye dobara Reham o karam ho jaane do ishaara Reham o karam ho jaaye dobara Reham o karam ho jaane do khudara
Dekhun na, tere bina aaj lagun tanha main Jaise hoon, toota hua waqt se ek lamha main Hoo aake tu mana le, hass le hassa le Rootha rootha jee na paunga Yaadein sabhi yeh poonchein har ghadi Tere kyun hain bata aansu chalke Reham o karam ho jaaye dobara Reham o karam ho jaane do ishaara Reham o karam ho jaaye dobara Reham o karam ho jaane do khudara