Jise zindagi dhoond rahi hai Kya ye woh mukaam mera hai Yahaan chain se bas ruk jaaun Kyun dil ye mujhe kehta hai Jazbaat naye se mile hai Jaane kya asar ye hua hai Ik aas mili phir mujhko Jo kubool kisi ne kiya hai Haan kisi shayar ki ghazal Jo de rooh ko sukoon ke pal Koi mujhko yun mila hai, jaise banjare ko ghar Naye mausam ki sehar, ya sard mein dopahar Koi mujhko yun mila hai, jaise banjare ko ghar Hmm… Aa… aa… Jaise koi kinara, deta ho sahara Mujhe woh mila, kisi mod par Koi raat ka taara, karta ho ujala Waise hi roshan kare, woh shehar Dard mere woh bhula hi gaya kuch aisa asar huya, Jeena mujhe phirse woh sikha raha Hmm jaise baarish kar de tar, ya marham dard par Koi mujhko yun mila hai, jaise banjare ko ghar Naye mausam ki sehar, ya sard mein dopahar Koi mujhko yun mila hai, jaise banjare ko ghar Muskaata ye chehra, deta hai jo pehra Jaane chupata kya dil ka samundar Auron ko toh har-dum, saaya deta hai, Woh dhoop mein hai khada khud magar Chot lagi hai use phir kyun mehsoos mujhe ho raha Dil tu bata de kya hai irada tera? Hmm… Main parinda be-sabar, tha udha jo dar-ba-dar Koi mujhko yun mila hai, jaise banjare ko ghar Naye mausam ki sehar, ya sard mein dopahar Koi mujhko yun mila hai, jaise banjare ko ghar Jaise banjare ko ghar Jaise banjare ko ghar Jaise banjare ko ghar