Праведный гнев Aakrosh: Cyclone of Anger, 1998 Madhosh Ho Gaya Main - Webmusic.IN
madhosh ho gayi main baaho mein tere aakar jaaneman aa pyar kar mujhe gale laga kar madhosh ho gayi main baaho mein tere aakar jaaneman aa pyar kar mujhe gale laga kar bechain hai mera dil ek dard sa jagakar jaaneman aa pyar kar mujhe gale lagakar madhosh ho gayi main baaho mein tere aakar
thahra ke mujhpe najre uff tera muskurana angdaai leke aise dil ko mere lubhana tu hi bata aakhir kaisa sambhalu ye dil lagta hai aaj mujhko kar doge tum deewana dekho dil ka ye sama do dilo ka ye milan dekho dil ka ye sama do dilo ka ye milan jal rahi hai saanso mein dhimi dhimi si agan aaja milke pyar le hadse ab gujar le keh raha hai dil yahi bhul koi kar le is raatgi mahakti ranginiya churakar jaaneman aa pyar kar mujhe gale laga kar madhosh ho gayi main baaho mein tere aakar
kis kis ada ko dekhu har ada nirali lahrake julm tune mukhade pe jab bhi daali khilne lagi hai jaalim tere labo ki laali ab dur tujhse rehna hone laga hai mushkil keh rahi hai ye ghadi faaslo ko tod de keh rahi hai ye ghadi faaslo ko tod de dhadkano se aaj tu dhadkano ko jod de mujhko har najar teri kar rahi ishara bekrar main dil huwa aawara ho naa jaaye pagal deewangi mein aakar jaaneman aa pyar kar mujhe gale laga kar madhosh ho gayi main baaho mein tere aakar bechain hai mera dil ek dard sa jagakar jaaneman aa pyar kar mujhe gale laga kar madhosh ho gayi main baaho mein tere aakar