Любовь и предательство Baghban, 2003 O Dharti Tarse
Bagh ko janam denewala baghban, parivar ko janam denewala pita Dono hi apne khun pasine se apne poudho ko sinchte hain Naa sirf apne ped se, usake saye se bhi pyar karte hain Kyun ki use ummid hai ek roj jab woh jindagi se thak jayega Yahi saya usake kam aayega
O dharti tarse, ambar barse, rut aaye, rut jaye hay Har mausam ki khushbu chunke baghban bagh sajaye Bagho ke har phul ko apnaa samjhe baghban Bagho ke har phul ko apnaa samjhe baghban Har ghadi kare rakhwali, patti patti dali dali sinche baghban Bagho ke har phul ko apnaa samjhe baghban Bagho ke har phul ko apnaa samjhe baghban Har ghadi kare rakhwali, patti patti dali dali sinche baghban Baghban rab hai baghban Baghban rab hai baghban Baghban rab hai baghban Baghban rab hai baghban
O madhuban ki bahar le aaye Mausam rite rite, hay mausam rite rite Janam janam ki trishna bujh gayi Birha ke kshan bite, hay birha ke kshan bite Phir se sajaye bhikhre apne sapne baghban Phir se sajaye bhikhre apne sapne baghban Baghban rab hai baghban Baghban rab hai baghban Baghban rab hai baghban Baghban rab hai, rab hai baghban
O ungali thamke jin birhan ko hamne dikhayi rah Mat pita ki unke mann me tanik nahi parvah O Ansuan bhar naino se inko dekhe baghban Ansuan bhar naino se inko dekhe baghban Aa aa aa, Baghban rab hai baghban Baghban rab hai baghban Baghban rab hai baghban Baghban rab hai baghban
O kisne dukh ki agni dali banjar ho gaye khet O hari bhari jivan baghiya se udne lagi hai ret Kya boya tha, aur kya kata soche baghban Kya boya tha, aur kya kata soche baghban Aa aa aa, Baghban rab hai baghban Baghban rab hai baghban Baghban rab hai baghban Baghban rab hai, rab hai baghban O yahi sochke sanse likh di inn phulan ke nam Inki chhaniya chhaniya bite umrr ki dhalti sham Gunche hardam hi muskaye chahe baghban Gunche hardam hi muskaye chahe baghban Har ghadi kare rakhwali, patti patti dali dali sinche baghban Baghban rab hai baghban Baghban rab hai, rab hai, rab hai, rab hai, rab hai baghban
Woh suraj hai layi jisne dhup aangan aangan me Kyun hai akelepan kaa andhera aaj usi ke daman me Kya chaha tha aur kya paya soche baghban Kya chaha tha aur kya paya soche baghban Aa aa aa, Baghban rab hai baghban Baghban rab hai baghban Baghban rab hai baghban Baghban rab hai baghban baghban, baghban.