Kaali kaali aankhon ka Kala kala jaadu hai Aadha aadha tujh bin main Aadhi aadhi si tu hai (x2)
Kaali kaali aankhon ka Kaala kaala jaadu hai Aaj bhi junooni si Jo ek aarzoo hai Yun hi tarasne de Yeh aankhein barasne de Teri aankhein do aankhein Kabhi shabnam kabhi khushboo hai
Kaali kaali aankhon ka Kala kaala jaadu hai Aadha aadha tujh bin main Aadhi aadhi si tu hai Kaali kaali aankhon kaala kaala jadu...
Gehre samandar aur do jazeere Doobe huey hain kitne zakheere Dhoondne do... Ashkon ke moti, seepi se kholo Palkon se jhaanke to jhaankne do Jhaankne do... Qatra qatra girne do Qatra qatra chun.ne do Qatra qatra rakhna hai naa Qatra qatra rakhne do Teri aankhon ka ye saaya Andhere mein koi jugnoo hai
Kaali kaali aankhon ka Kala kaala jaadu hai Aadha aadha tujh bin main Aadhi aadhi si tu hai
Jaane kahaan pe utrenge dono Udte huey yeh shab ke parinde Do parindey.... Pankhon pe barkha, le ke udey hain Do boond de do, pyaase pade hain Haan do boondein.. Lamha lamha lamhe dau Lamha lamha jeene do Keh bhi do na aankhon se Lamha lamha peene do Teri aaknhein halka saa Chhalka sa ek aansoo hai
Kaali kaali aankhon ka Kaala kaala jaadu hai Aadha aadha tujh bin main Aadhi aadhi si tu hai...