Apne naseeb se hum khush hai Is liye yaha khushhali hai Apna to dashera hai har din Apni har raat deewali hai Mahenat ki kamaai khate hai Aur gham ki hansi udate hai Hum odh ke chadar karmo ki Jaha bhi aaye so jaate hai Koi haal mast koi chaal Koi haal mast koi chaal Koi khake roti daal mast
Hum sidhe sadhe logo mein Koi chhota na koi bada yaha Mahenat hi apni pooja Mahenat hi apna hai imaan Mahenat hi apni pooja Mahenat hi apna hai imaan Ek duje ke sukh dukh baatein Miljul ke gujara karna hai Nafarat bhari duniya mein sabka Hame pyar se daaman bharna hai Koi haal mast koi chaal Koi haal mast koi chaal Koi khake roti daal mast
Na zulm karo na zulm saho Hame geeta ne ye sikhaya hai Na zulm karo na zulm saho Hame geeta ne ye sikhaya hai
Jab jab koi kans hua paida Tab tab kishan yaha aaya hai Purab ke pujari hai hum to Paschim se hame koi vair nahi Hame saari duniya pyari hai Sab apne hai koi gair nahi Hame saari duniya pyari hai Sab apne hai koi gair nahi Koi haal mast koi chaal Koi haal mast koi chaal Koi khake roti daal mast Sab mast apni masti mein Hum dilwalo ki basti mein Koi haal mast koi chaal Koi khake roti daal mast.