Mausam ne li angdaayi, aayi aayi Laheraake barkha phir chhaayi, chhaayi chhaayi Jhonka hawa ka aayega aur yeh diya bujh jaayega
Silsila yeh chaahat ka na maine bujhne diya, ho, hm Silsila yeh chaahat ka na maine bujhne diya Piya, yeh diya na bujha hai, na bujhega Meri chaahat ka diya Mere piya ab aaja re mere piya Ho, mere piya ab aaja re mere piya Is diye sang jal raha mera rom rom rom aur jiya Ab aaja re mere piya Ho, mere piya ab aaja re mere piya Faasla tha doori thi, faasla tha doori thi Tha judaai ka aalam, intezaar mein nazrein thi Aur tum vahan the, tum vahan the, tum vahan the Jhilmilaate jagmagaate khushiyon mein jhoomkar Aur yahan jal rahe the hum, aur yahan jal rahe the hum Phir se baadal garja hai, garaj garajke barsa hai Ghoomke toofaan aaya hai par tujhko bujha nahin paaya hai O piya yeh diya chaahe jitna sataaye tujhe yeh saawan Yeh hawa aur yeh bijliyaan Mere piya ab aaja re mere piya Ho, mere piya ab aaja re mere piya
Dekho yeh pagli deewani, duniya se hai yeh anjaani Jhonka hawa ka aayega aur iska piya sang laayega