Гуру Песен Популярное
А Б В Г Д Е Ж З И К Л М Н О П Р С Т У Ф Х Ц Ч Ш Э Ю Я
# A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z

√ Кумар Сану - Скажи что любишь Kaho Naa… Pyaar Hai 2000 Chand Sitaare | Текст песни

Chand sitaare phool aur khushboo
Chand sitaare phool aur khushboo
Ye to saare puraane hain
Taaza taaza kali khili hai
Hum uske deewne hain
Arre kaali ghatayein barkha saawan
O kaali ghatayein barkha saawan
Ye to sab afsane hain
Taaza taaza kali khili hai
Hum uske deewne hain

Andaz hai uske naye naye,
Hai naya naya deewanapan
Andaz hai uske naye naye,
Hai naya naya deewanapan
Pehnane taj jawaani ka
Hanske laut gaya bachpan
Geet ghazal sab kal ki baatein
O geet ghazal sab kal ki baatein
Uske naye taraane hain
Taaza taaza kali khili hai
Hum uske deewne hain

Hai roop mein itna saadapan,
To kitna sundar hoga mann
Hai roop mein itna saadapan,
To kitna sundar hoga mann
Bin gahnein aur singaar bina
Vo to lagti hai dulhan
Kaajal bindiya kangan jhumke
O kaajal bindiya kangan jhumke
Ye to guzare zamane hain
Taaza taaza kali khili hai
Hum uske deewne hain

Chand sitaare phool aur
Khushboo ye to saare puraane hain
Taaza taaza kali khili hai
Hum uske deewne hain
Arre kali ghatayein barkha saawan
Ye to sab afsane hain
Taaza taaza kali khili hai
Hum uske deewne hain.

√ Кумар Сану еще тексты


Статистика страницы на pesni.guru ▼
Просмотров сегодня: 1
Видео
Нет видео
-