(Hum logo ko samajh sako toh -2 samjho dilbar jaani Jitna bhi tum samjhoge utni hogi hairaani) - (2) Apni chhatri tumko dede kabhi jo barse paani Kabhi naye packet mein beche tumko cheej puraani Phir bhi dil hai hindusatni - (4)
Thode anari hain thode khiladi, ruk rukke chalti hai apni gaadi -(2) Hamein pyaar chahiye, aur paise bhi Hum aise bhi hain, hum hain vaise bhi Hum logo ko samajh sako toh samjho dilbar jaani Ulti seedhi jaisi bhi hai apni yahi kahaani Thodi hum mein hoshiyaari hain, thodi hai nadaani Thodi hum mein sachchaai hai, thodi beimaani Phir bhi dil hai hindusatni - (4)
(Aankhon mein kuchh aansu hain kuchh sapne hain Aansu aur sapne donon hi apne hain) - (2) Dil dukha hai lekin tuta toh nahin hai Umeed ka daaman chooka toh nahin hai Hum logo ko samajh sako toh samjho dilbar jaani Thodi majboori hai lekin thodi hai manmaani Thodi tu tu main main hai aur thodi kheecha taani Hum mein kaafi baatein hain jo lagti hain deewani Phir bhi dil hai hindusatni - (4) Dil hai hindusatni, (phir bhi dil hai hindustani -3) → http://pesenok.ru/43/Phir-Bhi-Dil-Hai-Hindustani/tekst-pesni-Phir-Bhi-Dil-Hai-Hindustani